mujhpe ehsaan hawa kerti hai
shab ki tanhai mein ab to akser
guftugoo tujhse raha kerti hai
dil ko us rah per chalna he nahin
jo mujhe tujhse juda kerti hai
zindagi meri thi laikin ab to
tere kehne mein raha kerti hai
usne dekha he nahin warna yeh aankh
dil ka ehwaal kaha kerti hai
beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
rait per naam likha kerti hai
shaam pertay he kisi shakhs ki yaad
koocha-e-jaan mein sada kerti hai
mujhse bhi uska hai waisa he salook
haal jo tera ana ? karti hai
dukh hoa kerta hai kuchh aur bayan
baat kuchh aur hoa kerti hai
abr barase to inayat uski
shaakh to sirf dua kerti hai
masla jab bhi utha chiraghoon ka
faisla sirf hawa kia kerti hai
[Parvin Shakir]
No comments:
Post a Comment