Monday, March 30, 2009

To Spring... William Blake

Love's Secret

Wednesday, March 11, 2009

Usay yeh kon samjhaye?..

Usay yeh kon samjhaye?
Woh dasht-e-khamoshi main
Ungliyon main sipiyan pehnay
Kisi sookhay samandar ki 
Adhuri pyas ki batain
Bohat chup chaap sunta hai
Bohat khamosh rehta hai
Usay kon samjhaye???
Khushi kay ik aansu say
Samandar bhar bhi jatey hain
Bohat khamosh rehnay say
Taaluq mar bhi jaatey hain ...